Tuesday, December 2, 2008

agar kuch naam dena ho .

Agar kuch naam daina ho
Mujhe insan mat kehna
Juda chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hain
Magar insaniyat ke ab yahan per daam hotay hain
Mairy tum daam matt daina
Mujhay yeah naam mat daina

Agar kuch naam daina ho
Mujhay Ehsas keh daina
Magar Thehroooo!
Mujhay Ehsas mat kehna
Maira bus naam reh jaye
Mujhay aisay nahin rehna
Mujhay Ehsas mat kehna

Agar kuch naam daina ho
Mujhay Saawan hi keh daina
Magar thehroooo!
Mujhay Saawan nahin kehna
Barasta hai magar
Rut ke badaltay, beet jata hai
Mujhay Saawan nahin kehna
Agar kuchh naam daina ho

Mujhay Aansoo hi keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh main
Rukhsar per merna
Yahi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansoo hi keh dainaa
Magar daikho!
kisi ki aankh main mujh ko kabhi

Aanay nahin daina
K qeemat aansoon ki ab adaa tum se nahin ho gee
Nahin tum yun nahin kehnaa
Mujhay aansoo nahin kehnaa
Mujhay aankhon main bastaa ik haseen sapna hi keh daina
Haqeeqat kuchh nahin jis ki
Chalo sapnaa hi keh daina

Ke sapnay aankh main taaron ki tarhaa jhilmilaatay hain
Magar thehrooooo!
Mujhay sapnaa nahin kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hain
Mujhay Apna Nahin Kehna
Ke Apnay Rooth jaatay hain

No comments: