Thursday, September 3, 2009

Sath Tumhara Daina Hai

Sath tumhara daina hai
Kuch saath tumhara pana hai
Patharoon ke is sheher main
Ik kanch ka ghar banana hai
Rab ne jo rishta asman per likha
Use duniya main nibhana hai
Aik naam tumhara likhna hai
Aik naam humien ban jana hai
Kuch batain tum se kerni hain
Kuch dil ka haal sunana hai
Chupke se jo mangi hai
Un Duaon main tum ko pana hai
Tum roth ke mujhe se na jao
Mujhe sath tumhara pana hai
Mujhe humsafer tumhain banana hai

1 comment:

Sidra Maqsood said...

I love urdu poetry, its really very nice to read such a great peom